Bharat Desh Azaad

Ashish Malhotra
1 min readAug 6, 2021

Janma hun shehar aur gaon mein..koi mujhe sundar kehta hai to koi badsurat hai kehta.

Har koi apni samaj ke hisaab se samjhta hai mujhe..koi kehta hai main nojawano ka desh hun to koi kehta hai main sangarsh mein hun fsaa.

Kitne hi bashaa, dharam, varg, sanskriti, itihaas ko hun smete main..kitne hi guru, veer huye mujhpe hai qurban.

Kuch kache gharon mein kuch pake gharon mein hun basta main..kuch kheton mein hal liye to kuch sheharon mein file’n liye chalta hun main.

Kahin gareebi ke bhoj se hun dbaa main to kahin har sahulat se poorn hun main.

kahin smaaj sewak aur shaheed ke balidaan se hun gaurvaanvit main to kahin agyaanion ke galat irado se hun pareshan main.

Ho rha hai duniya mein mera bhi naam…kabhi olympic to kabhi gyan.

Main hun Nehru, Gandhi, Bhagat singh aur bhi an-ginat inquilaabion ka Bharat Desh Azaad.

--

--

Ashish Malhotra
Ashish Malhotra

Written by Ashish Malhotra

कलाम: संगीत ए दिल

No responses yet